Bahut din se tumhein mein ye batana chahta hun,

Bahut din se tumhein mein ye batana chahta hun,
Kisi surat tumhein apna banana chahta hun.

Judai ki siyah raaton mein tum jagi ho ab tak,
Tumhein pehlu mein apne ab sulana chahta hun.

Wo jis ko sun ke ho jaye harek dil ko masarrat,
Mein koi geet aisa gungunana chahta hun.

Agar tu chand hai to sun le mein bhi tere sang-sang,
Sitaron ki tarah se jagmagana chahta hun.

Hawa mein teer jitne bhi chalane hon chalao,
Mein zad mein ho koi aisa nishana chahta hun.

Sadaqat ho to phir bejan patthar bolta hai,
Aqide ka asar tumko dikhana chahta hun.

Bahut mumkin hai ke ho jaye meri aa’inadari,
Mein apne aap ko ‘rooh’ se milana chahta hun.

Zamana har tarah se mujhko gar aazma chuka hai,
Mein ‘Sagar’ aap khud ko aazmana chahta hun.

Leave a comment