Bharam ye hai yahan par mein bahut khurram-o-shadan hun,

Hamare laut aane se nafa kisko, zarar kisko,
Mera matam manane ki saza kisko, asar kisko.

Ye sach hai ke harek zarre mein Wo hazir-o-nazir hai,
Magar jo dekh sakti hai Wo deta hai nazar kisko.

Bharam ye hai yahan par mein bahut khurram-o-shadan hun,
Mere barbad rehne ki wahan par hai khabar kisko.

Tumhare rukh ki tabani, hai mere ishq se qayam,
Mujhe khursheed kehte ho, to kehte ho qamar kisko.

Baha dariya mein har neki, yahi dastur-e duniya hai,
Ke kaun ashjar bota hai, milte hain samar kisko.

Tere maikhane mein saqi, jo tashna-kam baithe hain,
Kise tum doge jam-e mey, aur doge zehar kisko.

Tere ash’aar ke ‘Sagar’, ajab asarat hote hain,
Ke sozish kaun pata hai, milte hain sharar kisko.

 

Leave a comment