Ajab ye mojiza hai, kya tumhein ehsas hota hai?

Ajab ye mojiza hai, kya tumhein ehsas hota hai?
Jahan bhi jaun dil mera tumhare pas hota hai.

Bahut se log milte hain, safar mein, zindagani mein,
Magar bas ek hota hai, jo khas-m-khas hota hai.

Agarche bat bhi na ho, magar jab tak nahin dekhun,
Nazar bechain hoti hai, ye dil udas hota hai.

Mein jab chalta hun tumse door, keh kar ‘Alvida Janan’,
To phir har gam pe hamrah, hujum-e yas hota hai.

Zamane par ayan karte nahin majbooriyan apni,
Wo khud mohtat rehte hain, mujhe bhi pas hota hai.

Jo kehna chahta tha mein, suna usko nahi hargiz,
To ab mein wo hi kehta hun, jo tumko ras hota hai.

Hai fitrat uski ai ‘Sagar’, jigar ko cheer dene ki,
Magar ham sath rakhte hain, ke jo almas hota hai.

Leave a comment